kuch
din to baso meri ankhon main
phir khwab agar ho jao to kya
koi
rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya
ik
aina tha so tut gaya
ab khud se agar sharmao to kya
main
tanha tha main tanha hun
tum ao to kya na ao to kya
jab
ham hi na mahak phir sahib
tum bad-e-saba kahlao to kya
jab
dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya jal jao to kya