jis
tarah ki hain ye diraven ye dar jaisa bhi hai
sar chipane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai
us
ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumar
meri chahat ka hai mahavr ye nagar jaisa bhi hai
chal
para hun shauq-e-beparvah ko murshad man kar
rasta purpech hai ya purkhatar jaisa bhi hai
sab
gavara hai thakan sari dukhan sari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
vo
to hai makhsus ik teri mohabbat ke liye
tera 'Anwar' bahunar ya behunar jaisa bhi hai