kisi
ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai
savad-e-dard
main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai
samajh
main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai
sulagta
kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai
ye
basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai
kinara
dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai
dilon
ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai
main
tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai
jo
koi sun sake 'Amjad' to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai