yahi
bahut hai k dil us ko dhund laya hai
kisi k sath sahi vo nazar to aya hai
karun
shikayaten takta rahun k pyar karun
gaye bahar ki surat vo laut aya hai
vo
samane tha magar ye yaqin na ata tha
vo ap hai k meri khvahishon ka saya hai
azab
hup k kaise hain barishen kya hain
fasil-e-jism giri jab to hosh aya hai
main
kya karunga agar vo na mil saka 'Amjad'
abhi abhi mere dil main Khayal aya hai