chuke
chupke asar karta hai
ishq kainsar ki tarah barhta hai
jo
koi ji na sake mar jaye
ap ka nam abas leta hai
kaun
sunata hai kisi ki vipada
sab k mathe pe yahi qissa hai
koi
darta hai bhari mahfil main
koi tanhai main hans parta hai
yahi
jannat hai yahi hai dozakh
aur dekho to yahi duniya hai
sab
ki qismat main fana hai jab tak
asmanon pe koi zinda hai
vo
Khuda hai to zamin par aye
hashr ka din to yahan barpa hai
sans
roke hue baitho 'Amjad'
vaqt dushman ki tarah chalta hai