is
ada se vo vafa karte hain
koi jane k vafa karte hain
hamko
choroge to pachtaoge
hansana valon se hansa karte hain
ye
batata nahin koi mujhko
dil jo a jaye to kya karte hain
husn
ka haq nahin rahta baqi
har ada main vo ada karte hain
kis
qadar hain teri ankhen bebak
in se fitne bhi haya karte hain
is
liye dil ko laga rakha hai
is main dil ko laga rakha hai
"Dag"
tu dekh to kya hota hai
jabr par jabr kiya karte hain