lutf
vo ishq main paye hain ki ji janta hai
ranj bhi itne uthaye hain k ji janta hai
jo
zamane k sitam hain vo zamana jane
tune dil itne dukhaye hain k ji janta hai
tum
nahin jante ab tak ye tumhare andaz
vo mere dil main samaye hain ki ji janta hai
inhin
qadmon ne tumhare inhin qadmon ki qasam
khak main itne milaye hain k ji janta hai
dosti
main teri darparda hamare dushman
is qadar apne paraye hain k ji janta hai