na
rava kahiye na saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye
dil
main rakhne ki bat hai gam-e-ishq
is ko hargiz na barmala kahiye
vo
mujhe qatl kar k kahte hain
manta hi na tha ye kya kahiye
a
gai ap ko masihai
marne valo ko marhaba kahiye
hosh
urane lage raqibon k
"Dag" ko aur bevafa kahiye