arazu
hai vafa kare koi
ji na chahe to kya kare koi
gar
marz ho dava kare koi
marne vale ka kya kare koi
koste
hain jale hue kya kya
apne haq main dua kare koi
un
se sab apni apni kahte hain
mera matalab ada kare koi
tum
sarapa ho surat-e-tasvir
tum se phir bat kya kare koi
jis
main lakhon baras ki huren hon
aisi jannat ko kya kare koi