kab
yad main tera sath nahin kab hath main tera hath nahin
sad shukr k apni raton main ab hijr ki koi rat nahin
mushkil
hain agar halat wahan dil bech ayen jan de ayen
dil walo kucha-e-janan main kya aise bhi halat nahin
jis
dhaj se koi maqtal main gaya wo shan salamat rahti hai
ye jan to ani jani hai is jan ki to koi bat nahin
maidan-e-wafa
darbar nahion yan nam-o-nasab k puch kahan
ashiq to kisi ka nam nahin kuch ishq kisi ki zat nahin
gar
bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa
gar jit gae to kya kahna hare bhi to bazi mat nahin