yun
saja chand k jhalka tere andaz ka rang
yun faza mahki k badla mere hamraz ka rang
saya-e-chashm
main hairan rukh-e-raushan ka jamal
surkhi-e-lab pe pareshan teri awaz ka rang
bepiye
hon k agar lutf karo akhir-e-shab
shisha-e-may main dhale subah k agaz ka rang
chango-nay
rang pe the apne lahu k dam se
dil ne lay badali to madham hua har saz ka rang
ik
sukhan aur k phir rang-e-takallum tera
harf-e-sada ko inayat kare ejaz ka rang