mujhko
shikwa hai mere bhai k tum jate huye le gaye sath meri
umr-e-guzashta ki kitab
is
main to meri bahut qimati taswiren thin is main bachpan
tha mera, aur mera ahad-e-shabab
is
k badle mujhe tum de gaye jate jate apne gam ka yah
damakta hua khun-rang gulab
kya
karun bhai, ye ezaz main kyun kar pahnun mujhse le lo
meri sab chak qamizon ka hisab
akhri
bar hai lo man lo ik ye bhi sawal aj tak tum se main
lauta nahin mayus-e-jawab
ake
le jao tum apana yah damakata hua phul mujhako lauta
do meri umr-e-guzashata k ktab