nasib
azmane k din a rahe hain
qarib un k ane k din a rahe hain
jo
dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab un ko sunane k din a rahe hain
abhi
se dil-o-jan sar-e-rah rakh do
k lutne lutane k din a rahe hain
tapakne
lagi un nigahon se masti
nigahen churane k din a rahe hain
saba
phir hamain puchti phir rahi hai
chaman ko sajane k din a rahe hain
chalo
"Faiz" phir se kahin dil lagayen
suna hai thikane k din a rahe hain