sabhi
kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
ye
sukhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yad
k
koi lamha subah-e-wisal ka, kai sham-e-hijr ki qurbaten
jo
tumhari man len nasiha to rahega daman-e-dil main kya
na kisi udu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten
chalo
ao tum ko dikhayen ham jo bacha hai maqtal -e-shahar
main
ye mazar ahal-e-safa k hain ye hain ahal-e-sidq ki turbaten
meri
jan aj ka gam na kar, k na jane katib-e-waqt ne
kisi apne kal main bhi bhul kar kahin likh rakhi ho
masaraten