tumhari
yad k jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhen yad karne lagte hain
hadis-e-yar
k unwan nikharne lagte hain
to har harim main gesu sanwarne lagte hain
har
ajanabi hamain mahram dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali gali se guzarne lagte hain
saba
se karte hain gurbat-nasib zikr-e-watan
to chashm-e-subah main ansu ubharne lagte hain
wo
jab bhi karte hain is nutq-o-lab k bakhiyagari
faza main aur bhi nagmain bikharne lagte hain
dar-e-qafas
pe andhere k muhar lagti hai
to "Faiz" dil main sitare utarne lagte hain