sunane
ko bhir hai sar-e-mahshar lagi hui
tohmat tumhare ishq ki ham par lagi hui
rindon
k dam se atish-e-mai k bagair bhi
hai maikade main ag barabar lagi hui
abad
kar k shahar-e-khamoshan har ek su
kis khoj main hai teg-e-sitamgar lagi hui
jite
the yun to pahle bhi ham jan pe khel kar
bazi hai ab ye jan se barh kar lagi hui
lao
to qatlnama mera main bhi dekh lun
kis kis k muhar hai sar-e-mahzar lagi hui
akhir
ko aj apne lahu par hui tamam
bazi miyan-e-qatil-o-khanjar lagi hui