himmat-e-iltija
nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi
ik
teri did chin gai mujh se
warna duniya main kya nahin baqi
apni
mashq-e-sitam se hath na khench
main nahin ya wafa nahin baqi
teri chashm-e-alamnawaz ki khair
dil main koi gila nahin baqi
ho
chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
zindagi main maza nahin baq