nahin
nigah main manzil to justaju hi sahi
nahin wisal mayasar to arzu hi sahi
na
tan main khun faraham na ashk ankhon main
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi
kisi
tarah to jame bazm maikade walo
nahin jo bada-o-sagar to ha-o-hu hi sahi
gar
intazar kathin hai to jab talak ai dil
kisi k wada-e-farda ki guftagu hi sahi
dayar-e-gair
main mahram agar nahin koi
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi