muttafavatain
hain mere khuda ki ye tu nahin koi aur hai
ki tu asaman pe ho to ho pisar-e-zamin koi aur hai
wo
jo raste the vafa ke the ye jo manzilain hain saza ki
hain
mera hamsafar koi aur tha mera hamnashin koi aur hai
mere
jism-o-jan main tere siva aur koi bhi dusra
mujhe phir bhi lagta hai is tarah ki kahin kahin koi
aur hai
main
asir apne gazal ka main faqir dasht-e-visal ka
jo hiran ko bandh ke le gaya wo subuktagin koi aur hai