Dil
bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon
ankhon
ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon
har
husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon
duniya
ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon
pahale
pahal ka ishq abhi yad hai 'Faraz'
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon