hava
k zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarte
rahe mahafuz kishtiyon vale
main dubte hua dariya k par utar bhi gaya
ab
ehtiyat ki divar kya uthate ho
jo chor dil main chupa tha vo kam kar bhi gaya
main
chup raha k is main thi afiyat jan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagate
sochte viran mausamon ki tarah
kara tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya
jise
bhula na saka us ko yad kya rakhta
jo nam dil main raha zehan se utar bhi gaya
phati-phati
hui ankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya
magar
falak ki adavat usi k ghar se na thi
jahan 'Faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya