inhin
khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao
vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao
ye
udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao
vo
kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao
mere
hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao
ye
judaiyon k raste bari dur tak gaye hain
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao
kisi
bevafa ki khatir ye junun 'Faraz' kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao