muntazir
kab se tahayyur hai teri taqrir ka
bat kar tujh par guman hone laga tasvir ka
rat
kya soye k baqi umr ki nind ur gai
Khvab kya dekha ki dharka lag gaya tabir ka
jane
tu kis alam main bichara hai ki tere bagair
aj tak har lafz fariyadi meri tahrir ka
jis
tarah badal ka saya pyas bharakta rahe
main ne vo alam bhi dekha hai teri tasvir ka
kis
tarah paya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhi to qail ho gaya taqdir ka
ishq
main sar phorna bhi kya k ye be-meher log
ju-e-Khun ko nam dete hain ju-e-shir ka
jis
ko bhi chaha use shidat se chaha hai 'Faraz'
sil-sila tuta nahin dard ki zanjir ka