us
ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
dhalti
na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-nagahan tera ana bahut hua
ham
khuld se nikal to gaye hain par ai khuda
itne se vaqaye ka fasana bahut hua
ab
ham hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara rabt barhana bahut hua
ab
kyon na zindagi pe muhabbat ko var den
is ashiqi main jan se jana bahut hua
ab
tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
mana k us se milna milana bahut hua
kya
kya na ham kharab hue hain magar ye dil
ai yad-e-yar tera thikana bahut hua
kahta
tha nasehon se mere munh na aio
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua
lo
phir tere labon pe usi bevafa ka zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua