gam-e-duniya
se gar pai bhi fursat sar uthane ki
falak ka dekhna taqrib tere yad ane ki
khulega
kis tarah mazmun mere maktub ka yarab
qasam khai hai us kafir ne kagaz k jalane ki
lipatna
paraniyan main shola-e-atish ka asan hai
wale mushkil hai hikmat dil main soz-e-gam chupane ki
unhen
manzur apne zakhmiyon ka dekh ana tha
uthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki
hamari
sadagi thi iltafat-e-naz par marna
tera ana na tha zalim magar tamahid jane ki
laqad-kob-e-hawadis
ka tahammul kar nahin sakti
meri taqat k zamin thi buton k naz uthane ki
kahun
kya khubi-e-auzag-e-ibna-e-zaman "Ghalib"
badi ki usne jis se hamne ki thi barha neki