mana-e-dasht
nawardi koi tadbir nahin
ek chakkar hai mere paon main zanjir nahin
hasrat-e-lazzat-e-azar
rahi jati hai
jadah-e-rah-e-wafa juz dam-e-shamshir nahin
ranj-e-na-ummidi-e-jawed
gawara rahiyo
khush hun gar nala zabuni kash-e-tasir nahin
sar
khujata hai jahan zakhm-e-sar acha ho jaye
lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin
jab
karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de
koi taqsir ba-juz khaslat-e-taqasir nahin
"Ghalib"
apna ye aqida hai baqaul-e-nasikh
ap be-behra hain jo motaqid-e-mir nahin