dost
gamkhwari main meri sai farmayenge kya
zakhm k bharne talak nakhun na barh jayenge kya
beniyazi
had se guzri banda parwar kab talak
ham kahenge hal-e-dil aur ap farmayenge kya
hazrat-e-naseh
gar ayen dida-o-dil farsh-e-rah
koi mujh ko ye to samjha do k samajhayenge kya
aj
wan teg-o-kafan bandhe hue jata hun main
uzr mera qatl karne main wo ab layenge kya
gar
kiya naseh ne ham ko qaid acha yon sahi
ye junun-e-ishq k andaz chut jayenge kya
khana
zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kya
hain giraftar-e-wafa zindan se ghabarayenge kya
hai
ab is mamure main qahat-e-gam-e-ulfat asad
ham ne ye mana k dilli main rahe khayenge kya