taskin
ko ham na roin jo zauq-e-nazar mile
huran-e-khuld mein teri surat magar mile
apni
gali mein mujh ko na kar dafn bad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyon tera ghar mile
saqi
gari k sharm karo aj warna ham
har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile
tujh
se to kuch kalm nahi lekin ae nadim
mera salam kahiyo agar namabar mile
tum
ko bhi ham dikhain k majnun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gam-e-pinhan se gar mile
lazim
nahi k khizr ki ham pairwi karen
mana k ek buzurg hamein ham safar mile
ae
saknan-e-kucha-e-dildar dekhna
tum ko kahin jo Ghalib-e-ashufta sar mile