wo
firaq aur wo wisal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq
kise
zauq-e-nazara-e-jamal kahan
dil
to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan
thi
wo ik shakhs k tasawur se
ab wo ranai-e-khayal kahan
aisa
asan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan
hamse
chuta qomarkhana-e-ishq
wan jo jayen girah mein mal kahan
fikr-e-dunya
mein sar khpata hun
main kahan aur ye wabal kahan
muzmahil
ho gaye quwe 'Ghalib'
wo anasir mein aitadal kahan