dil-e-nadan
tujhe hua kya hai
akhir is dard ki dawa kya hai
ham
hain mushtaq aur wo bezar
ya ilahi ye majara kya hai
main
bhi munh mein zaban rakhta hun
kash pucho k mudda kya hai
jab
k tujh bin nahi koi maujud
phir ye hangama, ai Khuda kya hai
ye
pari chehra log kaise hain
gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai
shikan-e-zulf-e-ambari
kyon hai
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
sabza-o-gul
kahan se aye hain
abr kya chiz hai hawa kya hai
hamko
unse wafa ki hai ummid
jo nahi jante wafa kya hai
han
bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai
jan
tum par nisar karta hun
main nahi janta dua kya hai
main
ne mana k kuch nahi 'ghalib'
muft hath aye to bura kya hai