dil
se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai
shaq
ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
wo
bada-e-shabana ki saramastiyan kahan
uthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai
urti
phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai
dekho
to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har
bulahawas ne husn parasti shiar ki
ab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai
nazzare
ne bhi kam kiya wan naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai
farda-o-din
ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae k ham pe qayamat guzar gai
mara
zamane ne 'Asadullah khan" tumhen
wo walwale kahan, wo jawani kidhar gai