Zaur
se baz aye par baz ayen kya
kahte hain ham tum ko munh dikhlayen kya
rat
din gardish mein hain sat asman
ho rahega kuch na kuch ghabrayen kya
lag
ho to us ko ham samjhen lagao
jab na ho kuch bhi to dhoka khayen kya
ho
liye kyon namabar k sath-sath
ya rab apne khat ko ham pahunchayen kya
mauj-e-khun
sar se guzar hi kyon na jaye
astan-e-yar se uth jayen kya
umr
bhar dekha kiye marne ki rah
mar gae par dekhiye dikhlayen kya
puchte
hain wo k "Ghalib" kaun hai
koi batlao k ham batlayen kya