koi
ummid bar nahi ati
koi surat nazar nahi ati
maut
ka ek din muayyan hai
nind kyon rat bhar nahi ati
age
ati thi hal-e-dil pe hansi
ab kisi bat par nahi ati
janta
hun sawab-e-tahat-o-zahad
par tabiyat idhar nahi ati
hai
kuch aisi hi bat jo chup hun
warna kya bat kar nahi ati
kyon
na chikhun k yad karte hain
meri awaz gar nahi ati
dag-e-dilgarnazar
nahi ata
bu bhi ai charagar nahi ati
ham
wahan hain jahan se ham ko bhi
kuch hamari khabar nahi ati
marte
hain arzu mein marne ki
maut ati hai par nahi ati
kaba
kis munh se jaoge 'Ghalib'
sharm tumko magar nahi ati