phir
kuch is dil ko beqarari hai
sina zoya-e-zakhm-e-kari hai
phir
jigar khodne laga nakhun
amad-e-fasl-e-lalakari hai
qibla-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz
phir wahi parda-e-ammari hai
chashm-e-dallal-e-jins-e-ruswai
dil kharidar-e-zauq-e-khwari hai
wahi
sadrang nala farsai
wahi sadguna ashqbari hai
dil
hawa-e-khiram-e-naz se phir
mahshristan-e-beqarari hai
jalwa
phir arz-e-naz karta hai
roz-e-bazar-e-jansupari hai
phir
usi bewafa pe marte hain
phir wahi zindagi hamari hai
phir
khula hai dar-e-adalat-e-naz
garm bazar-e-faujdari hai
ho
raha hai jahan mein andher
zulf ki phir sarishtadari hai
phir
diya para-e-jigar ne sawal
ek fariyad-o-ah-o-zari hai
phir
hue hain gawah-e-ishq talab
ashqbari ka hukmzari hai
dil-o-mizshgan
ka jo muqadma tha
aj phir us ki rubqari hai
bekhudi
besabab nahi 'Ghalib'
kuch to hai jis ki pardadari hai