phir
mujhe dida-e-tar yad aya
dil jigar tashna-e-fariyad aya
dam
liya tha na qayamat ne hanoz
phir tera waqt-e-safar yad aya
sadgi
haye tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yad aya
uzr-e-wamandagi
ae hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yad aya
zindagi
yun bhi guzar hi jati
kyon tera rahguzar yad aya
kya
hi rizwan se larai hogi
ghar tera khuld mein gar yad aya
ah
wo jurrat-e-fariyad kahan
dil se tang ak jigar yad aya
phir
tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gumgashta magar yad aya
koi
wirani-si-wirani hai
dasht ko dekh k ghar yad aya
main
ne majnun pe larkpan mein 'Asad'
sang uthaya tha k sar yad aya