hai
justaju k khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye theharti hai ja kar nazar kahan
yarab
is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko ham se rabt, magar is qadar kahan
ik
umr chahye k gawara ho naish-e-ishq
rakkhi hai aj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
ham
jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
alam mein tujhse lakh sahi tu magar kahan
hoti
nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zuban mein asar kahan
'Hali'
nishat nagma-o-mai dhundhte ho ab
aye ho waqt-e-subh, rahe rat bhar kahan