mere
Khuda mujhe itna to motabar kar de
main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de
ye
roshni k taqqub mein bhagta hua din
jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de
main
zindagi ki dua mangne laga hun bahut
jo ho sake to duaon ko beasar kar de
sitara-e-sahri
dubne ko aya hai
zara koi mere suraj ko ba-khabar kar de
qabila
war kamanein karakne wali hain
mere lahu ki gawahi mujhe nadar kar de
meri
zamin mera akhiri hawala hai
so main rahun na rahun us ko barawar kar de
main
apne khwab se kat kar jiyun to mere Khuda
ujar de meri mitti ko dar-ba-dar kar de