khwab
ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai
ghar
ki wehshat se larzta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai
dub
jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai
kabhi
mil jaye to raste ki thakan jag pare
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai
wahi
paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai