jog
bijog ki baten jhuti sab ji ka bahlana ho
phir bhi ham se jate jate ek gazal sun jana ho
sari
duniya aql ki bairi kaun yahan par sayana ho
nahaq nam dharen sab ham ko diwana diwana ho
tum
ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho
sab ka ek na ek thikana apna kaun thikana ho
nagri
ngari lakhon dware har dware par lakh sukhi
lekin jab ham bhul chuk hain daman ka phailana ho
tere
ye kya ji main ai khinch liye sharma kar hont
ham ko zahar pilane wali amrit bhi pilwana ho
ham
bhi jhute tum bhi jhute ek isi ka sacha nam
jis se dipak jalana sikha parwana mar jana ho
sidhe
man ko an daboche mithi baten sundar log
'Meer', 'Nazeer', 'kabir' aur 'Insha' sab ka ek gharana
ho