is
shahar-e-kharabi mein gam-e-ishq k mare
zinda hain yahi bat bari bat hai pyare
ye
hansta hua chand ye purnur sitare
tabinda-o-painda hain zarron k sahare
hasrat
hai koi guncha hamein pyar se dekhe
arman hai koi phul hamein dil se pukare
har
subah meri subah pe roti rahi shabnam
har rat meri rat pe hanste rahe tare
kuch
aur bhi hain kam hamein ai gam-e-janan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanware