mera
ji hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
Khuda
jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamana
hai teri agar hai tamana
teri arzu hai, agar arzu hai
kiya
sair hamne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti main ajab rang-o-bu hai
ganimat
hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi ankh, main hun na tu hai
nazar
mere dil ki pari "dard" kis par
jidhar dekhta hun wahi ru-ba-ru hai