chand
tanha hai asman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha
bujh
gai as chup gaya tara
thartharata raha dhuan tanha
zindagi
kya isi ko kahte hain
jism tanha hai aur jan tanha
hamsafar
koi gar mile bhi kahin
donon chalte rahe tanha tanha
jalti
bujhti si raushani k pare
simta simta sa ek makan tanha
rah
dekha karega sadiyon tak
chor jayenge ye jahan tanha