agaz
to hota hai anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota
jab
zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota
hans
hans k jawan dil k ham kyon na chunen tukre
har shakhs ki qismat main inam nahin hota
bahte
hue ansu ne ankhon se kaha tham kar
jo mai se pighal jaye wo jam nahin hota
din
dube hain ya dubi barat liye kashti
sahil pe magar koi kohram nahin hota