bichar
k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitna udas lagta hai
ye
wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
k is k bad wahi duriyon ka sahara hai
kuch
aur der na jharta udasiyon ka shajar
kise khabar tere saye main kaun baitha hai
ye
rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai
main
kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
tera badan hai k ye ainon ka dariya hai