wo
jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad
ho
wahi yani wada nibah k tumhen yad ho k na yad ho
wo
naye gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek bat pe ruthna tumhen yad ho k na yad ho
koi
bat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhen yad ho k na yad ho
suno
zikr hai kai sal ka, koi wada mujh se tha ap ka
wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yad ho k na yad ho
kabhi
ham main tum main bhi chah thi, kabhi ham se tum se
bhi rah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashna, tumhen yad ho k na
yad ho
hue
itefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yad ho k na yad ho
wo
jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam k hath mere hath
par
mujhe sab hain yad zara zara, tumhen yad no k na yad
ho
kabhi
baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu
wo bayan shauq ka barmala tumhen yad ho k na yad ho
wo
bigarna wasl ki rat ka, wo na manana kisi bat ka
wo nahin nahin ki har an ada, tumhen yad ho ki na yad
ho
jise
ap ginte the ashna jise ap kahte the bawafa
main wahi hun "Momin"-e-mubtala tumhen yad
ho k na yad ho