asar
usko zara nahin hota
ranj rahat faza nahin hota
tum
hamare kisi tarah na hue
warna duniya main kya nahin hota
narasai
se dam ruk to ruk
main kisi se khafa nahin hota
tum
mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota
hal-e-dil
yar ko likhun kyon kar
hath dil se juda nahin hota
kyon
sune arz-e-muztarib ae 'Momin'
sanam akhir Khuda nahin hota