chaman
main rang-e-bahar utra to main ne dekha
nazar se dil ka gubar utra to main ne dekha
main
nim shab azma k hasrat ko dekhta tha
chaman main wo husn zar utra to main ne dekha
khumar
mai thi wo chehra kuch aur lag raha tha
dam-e-sahar jab khumar utra to main ne dekha
gali
k bahar tamam manzil badal gaye the
jo saya ek ku-e-yar utra to main ne dekha
ik
aur dariya ka samna tha 'Munir' mujh ko
main ek dariya k par utra to main ne dekha