us
bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto
ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto
sham-e-alam
dhali to chali dard ki hawa
raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto
ankhon
main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul
ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto
ye
ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad
tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto