us
simt mujh ko yar ne jane nahin diya
ek aur shahar-e-yar main ane nahin diya
kuch
aur waqt chahte the k sochen tere liye
tune wo waqt ham ko zamane nahin diya
manzil
hai is mahak ki kahan kis chaman main hai
is ka pata safar main hawa ne nahin diya
roka
ana ne kawish-e-besud se mujhe
us but ko apna hal sunane nahin diya
hai
jis k bad ahad-e-zawal-ashna "Munir"
itna kamal ham ko Khuda ne nahin diya