khalish-e-hijr-e-dayami
na gai
tere rukh se ye berukhi na gai
puchte
hain k kya hua dil ko
husn walon ki sadgi na gai
sar
se sauda gaya muhabbat ka
dil se par is ki bekali na gai
aur
sab ki hikayaten kah din
bat apni kabhi kahi na gai
ham
bhi ghar se 'Munir' tab nikle
bat apnon ki jab sahi na gai